
Ek bachpan ka zamana tha, Hota jb khushiyon ka khazana tha; chahat hoti chand ko paane ki thi, par dil to teetli ka diwana tha. Khabar na hoti kuch subah ki, na koi shaam ka thikana tha; thak haar kar ana school se, prr khelne to jaroor jana tha. Maa ki kahani thi, pariyon ka fasana tha; barish mein kagaz ki naav thi, har mosam suhana tha. Har khel mein saathi the, har rishta nibhana tha; gum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha. Rone ki vajah naa thi, na koi hasne ka bahana tha; Akhir kyo ho gye hum itne bade, isse achha to Voh Hmara bachpan ka zamana tha…